baḌe ġhazab kā hai yaaro baḌe azaab kā zaḳhm
agar shabāb hī Thahrā mire shabāb kā zaḳhm
zarā sī baat thī kuchh āsmāñ na phaT paḌtā
magar harā hai abhī tak tire javāb kā zaḳhm
zamīñ kī kokh hī zaḳhmī nahīñ andheroñ se
hai āsmāñ ke bhī siine pe āftāb kā zaḳhm
maiñ sañgsār jo hotā to phir bhī ḳhush rahtā
khaTak rahā hai magar dil meñ ik gulāb kā zaḳhm
usī kī chāragarī meñ guzar ga.ī 'asrār'
tamām umr ko kaafī thā ik shabāb kā zaḳhm
baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm
agar shabab hi Thahra mere shabab ka zaKHm
zara si baat thi kuchh aasman na phaT paDta
magar hara hai abhi tak tere jawab ka zaKHm
zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se
hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm
main sangsar jo hota to phir bhi KHush rahta
khaTak raha hai magar dil mein ek gulab ka zaKHm
usi ki chaaragari mein guzar gai 'asrar'
tamam umr ko kafi tha ek shabab ka zaKHm
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm
Nomaan Shauque
Leave a comment