Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup


terī ruuh meñ sannāTā hai aur mirī āvāz meñ chup
tū apne andāz meñ chup hai maiñ apne andāz meñ chup

gaahe gaahe sāñsoñ kī āvāz sunā.ī detī hai
gaahe gaahe baj uThtī hai dil ke shikasta-sāz meñ chup

sannāTe ke zahr meñ bujhte logoñ ko ye kaun batā.e
jitnā ūñchā bol rahe haiñ utnī hai āvāz meñ chup

ik muddat se ḳhushk paḌā hai vo jharnā añgḌā.ī kā
jaane kis ne bhar dī hai us paikar-e-naġhma-sāz meñ chup

rag rag meñ jab ḳhuun kī būñdeñ bulbul ban kar chahak uThīñ
phir dil-e-'hāfiz' kyuuñ kar sādhe siine ke shīrāz meñ chup

teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup
tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup

gahe gahe sanson ki aawaz sunai deti hai
gahe gahe baj uThti hai dil ke shikasta-saz mein chup

sannaTe ke zahr mein bujhte logon ko ye kaun batae
jitna uncha bol rahe hain utni hai aawaz mein chup

ek muddat se KHushk paDa hai wo jharna angDai ka
jaane kis ne bhar di hai us paikar-e-naghma-saz mein chup

rag rag mein jab KHun ki bunden bulbul ban kar chahak uThin
phir dil-e-'hafiz' kyun kar sadhe sine ke shiraaz mein chup


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+