kafīl-e-sā.at-e-sayyār rakkhā hotā hai
ki ham ne dil yūñhī sarshār rakkhā hotā hai
maiñ rakh ke jaatā huuñ khiḌkī meñ kuchh gulāb ke phuul
kisī ne sāya-e-dīvār rakkhā hotā hai
ajiib log haiñ dīvār-e-shab pe chalte haiñ
charāġh jeb meñ bekār rakkhā hotā hai
kabhī-kabhār use phal phuul lagne lagte haiñ
hamāre shānoñ pe jo baar rakkhā hotā hai
ajiib shahr hai patthar usī pe aatā hai
jo aa.ina pas-e-dīvār rakkhā hotā hai
kafil-e-saat-e-sayyar rakkha hota hai
ki hum ne dil yunhi sarshaar rakkha hota hai
main rakh ke jata hun khiDki mein kuchh gulab ke phul
kisi ne saya-e-diwar rakkha hota hai
ajib log hain diwar-e-shab pe chalte hain
charagh jeb mein bekar rakkha hota hai
kabhi-kabhaar use phal phul lagne lagte hain
hamare shanon pe jo bar rakkha hota hai
ajib shahr hai patthar usi pe aata hai
jo aaina pas-e-diwar rakkha hota hai
Leave a comment