Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ilyas Ishqi

  • Ghazal


prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba


prīt-nagar kī riit nahīñ hai aisā ochhā-pan baabā
itnī sudh-budh kis ko yahāñ jo soche tan-man-dhan baabā

un kī koī Thor nahīñ hai sāñjh kahīñ haiñ bhor kahīñ
priit ke roge banjāre haiñ bastī ho yā ban baabā

laakh jatan se juḌ na sakegā pahle batā.e dete haiñ
TuuT gayā to TuuT gayā bas man kā ye darpan baabā

us kī bālak-haT ke aage ghar chhoḌā bairāg liyā
dekheñ kyā din dikhlātā hai ab ye mūrakh man baabā

biin jo apne paas na hotī ham jogī bhī bhaTak jaate
kyā kyā ruup badal kar aa.ī maayā kī nāgan baabā

ham jo magan haiñ dhyān meñ apne us ko bhī dhokā jaano
kis se suljhī saañs ke tāne-bāne kī uljhan baabā

ab dukh-sukh kā bhed batāne aa.e ho jab 'ishqī' kā
priit dharm hai priit karam hai priit se hai jīvan baabā

prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba
itni sudh-budh kis ko yahan jo soche tan-man-dhan baba

un ki koi Thor nahin hai sanjh kahin hain bhor kahin
prit ke roge banjare hain basti ho ya ban baba

lakh jatan se juD na sakega pahle batae dete hain
TuT gaya to TuT gaya bas man ka ye darpan baba

us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDa bairag liya
dekhen kya din dikhlata hai ab ye murakh man baba

bin jo apne pas na hoti hum jogi bhi bhaTak jate
kya kya rup badal kar aai maya ki nagan baba

hum jo magan hain dhyan mein apne us ko bhi dhoka jaano
kis se suljhi sans ke tane-bane ki uljhan baba

ab dukh-sukh ka bhed batane aae ho jab 'ishqi' ka
prit dharm hai prit karam hai prit se hai jiwan baba


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+