Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faqeeh Haidar

  • Ghazal


phaTi mashken liye din-raat dariya dekhne wale


phaTī mashkeñ liye din-rāt dariyā dekhne vaale
bayābāñ ban ga.e paanī ziyāda dekhne vaale

yahāñ koī musalsal dekhne vaalā nahīñ tujh ko
hamāre saath chal ham haiñ hamesha dekhne vaale

tumhāre husn se insāf karne kā taqāzā hai
tumheñ dekheñ ziyāda se ziyāda dekhne vaale

imārat ishq kī tanhā khaḌī hogī kahāñ tum se
hameñ bhī saath rakkho ham haiñ naqsha dekhne vaale

hamāre sāmne tārīf kartā kaun kuufe kī
sabhī ko ilm thā ham haiñ madīna dekhne vaale

bichhaḌte vaqt muḌ kar is liye dekhā nahīñ maiñ ne
ka.ī manzar nahīñ hote dobāra dekhne vaale

kisī ne mā-sivā-e-ḳhāk dil se kuchh nahīñ paayā
bahut se log aa.e ye ilāqa dekhne vaale

phaTi mashken liye din-raat dariya dekhne wale
bayaban ban gae pani ziyaada dekhne wale

yahan koi musalsal dekhne wala nahin tujh ko
hamare sath chal hum hain hamesha dekhne wale

tumhaare husn se insaf karne ka taqaza hai
tumhein dekhen ziyaada se ziyaada dekhne wale

imarat ishq ki tanha khaDi hogi kahan tum se
hamein bhi sath rakkho hum hain naqsha dekhne wale

hamare samne tarif karta kaun kufe ki
sabhi ko ilm tha hum hain madina dekhne wale

bichhaDte waqt muD kar is liye dekha nahin main ne
kai manzar nahin hote dobara dekhne wale

kisi ne ma-siwa-e-KHak dil se kuchh nahin paya
bahut se log aae ye ilaqa dekhne wale


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+