Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahender Kumar Sani

  • Ghazal


ye kya hua hai raat ko kyunkar niDhaal hai


ye kyā huā hai raat ko kyūñkar niDhāl hai
merī hī tarah chāñd falak par niDhāl hai

dīvār o dar ne rañgoñ se dāman chhuḌā liyā
yak-rañgi-e-sukūt se kyuuñ ghar niDhāl hai

us se hazār dariyā lipaTne ko muntazir
phir kis ke intizār meñ sāgar niDhāl hai

bāhar nikal ke dekh tirī aarzū meñ koī
kab se paḌā huā tire dar par niDhāl hai

ab kaun pūchhtā hai use is dayār meñ
sajda-guzār koī nahīñ dar niDhāl hai

'sānī' hamārā haal yuuñ pahle na thā kabhī
bāhar hai ḳhast ḳhast to andar niDhāl hai

ye kya hua hai raat ko kyunkar niDhaal hai
meri hi tarah chand falak par niDhaal hai

diwar o dar ne rangon se daman chhuDa liya
yak-rangi-e-sukut se kyun ghar niDhaal hai

us se hazar dariya lipaTne ko muntazir
phir kis ke intizar mein sagar niDhaal hai

bahar nikal ke dekh teri aarzu mein koi
kab se paDa hua tere dar par niDhaal hai

ab kaun puchhta hai use is dayar mein
sajda-guzar koi nahin dar niDhaal hai

'sani' hamara haal yun pahle na tha kabhi
bahar hai KHast KHast to andar niDhaal hai


Source: Book : Loban (Pg. 10) Author : Nadeem Farrukh

Leave a comment

+