ḳhabar sunegā mirī maut kī to ḳhush hogā
ki ab to jā ke divāne ko chain aa.egā
mileñge mujh se kahīñ achchhe jāñ-nisār tujhe
magar kabhī to mirā zikr aa hī jā.egā
na aisā ho magar aisā huā to kyā hogā
sukūñ talāsh karegā kahīñ na pā.egā
ajiib daur hai kuchh bhī yahāñ pe mumkin hai
jo yaad rakhnā bhī chāhā to bhuul jā.egā
zamāna guzregā TūTeñge saikḌoñ rishte
phir ek shaḳhs fasāna mirā sunā.egā
koī hañsegā divāne kī zindagī pe magar
kisī kī aañkh meñ ik ashk aa hī jā.egā
na dostoñ kī shikāyat na dushmanoñ kā gilā
ye sochtā huuñ kise kaun ab manā.egā
KHabar sunega meri maut ki to KHush hoga
ki ab to ja ke diwane ko chain aaega
milenge mujh se kahin achchhe jaan-nisar tujhe
magar kabhi to mera zikr aa hi jaega
na aisa ho magar aisa hua to kya hoga
sukun talash karega kahin na paega
ajib daur hai kuchh bhi yahan pe mumkin hai
jo yaad rakhna bhi chaha to bhul jaega
zamana guzrega TuTenge saikDon rishte
phir ek shaKHs fasana mera sunaega
koi hansega diwane ki zindagi pe magar
kisi ki aankh mein ek ashk aa hi jaega
na doston ki shikayat na dushmanon ka gila
ye sochta hun kise kaun ab manaega
Leave a comment