kisī bhī lafz kā jaadū asar nahīñ kartā
vo apne dil kī mujhe bhī ḳhabar nahīñ kartā
banā huā hai ba-zāhir vo be-ta.alluq bhī
jo mujh ko soche binā din basar nahīñ kartā
Thaharne bhī nahīñ detā hai apne dil meñ mujhe
mohabbateñ bhī mirī dil-ba-dar nahīñ kartā
laboñ meñ jis ke mohabbat kā ism-e-āzam hai
na-jāne pyaar ko vo kyoñ amar nahīñ kartā
nahīñ basātā jo aa kar bhī shahr-e-dil merā
yahāñ se jā ke bhī us ko khañDar nahīñ kartā
idhar kī mujh se chhupātā nahīñ hai baat koī
vo merī bāteñ kabhī bhī udhar nahīñ kartā
ajiib taur tarīqe haiñ us ke bhī 'haidar'
vo mujh se pyaar to kartā hai par nahīñ kartā
kisi bhi lafz ka jadu asar nahin karta
wo apne dil ki mujhe bhi KHabar nahin karta
bana hua hai ba-zahir wo be-talluq bhi
jo mujh ko soche bina din basar nahin karta
Thaharne bhi nahin deta hai apne dil mein mujhe
mohabbaten bhi meri dil-ba-dar nahin karta
labon mein jis ke mohabbat ka ism-e-azam hai
na-jaane pyar ko wo kyon amar nahin karta
nahin basata jo aa kar bhi shahr-e-dil mera
yahan se ja ke bhi us ko khanDar nahin karta
idhar ki mujh se chhupata nahin hai baat koi
wo meri baaten kabhi bhi udhar nahin karta
ajib taur tariqe hain us ke bhi 'haidar'
wo mujh se pyar to karta hai par nahin karta
Source: Book : Aqleem (Pg. 89) Author : Jafar Baloch Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986) Edition : 1986
Leave a comment