Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Janib

  • Ghazal


dil TuTne ka band ye ranj-o-malal kar


dil TūTne kā band ye rañj-o-malāl kar
ab pheñknā ye kāñch kahāñ hai ḳhayāl kar

masrūf DhūñDne meñ hai koī shikār ko
baiThā hai koī apnā yahāñ jaal Daal kar

jis aadmī ko zahr bhī pachtā thā ai tabīb
piine lagā hai aaj vo paanī ubaal kar

nāsūr ho gayā thā ye nā-qābil-e-rafū
dil pheñknā paḌā hameñ āḳhir nikāl kar

īmān ko bhī apne jahāñ se bachā.iye
locker meñ māl-o-zar hī na rakhiye sambhāl kar

gar pūchhnā hī hai to zamāne kā haal pūchh
baare paḌosiyoñ ke na ham se savāl kar

'jānib' nasīb vaale to chāheñge bas yahī
ho faisle jahān meñ sikke uchhāl kar

dil TuTne ka band ye ranj-o-malal kar
ab phenkna ye kanch kahan hai KHayal kar

masruf DhunDne mein hai koi shikar ko
baiTha hai koi apna yahan jal Dal kar

jis aadmi ko zahr bhi pachta tha ai tabib
pine laga hai aaj wo pani ubaal kar

nasur ho gaya tha ye na-qabil-e-rafu
dil phenkna paDa hamein aaKHir nikal kar

iman ko bhi apne jahan se bachaiye
locker mein mal-o-zar hi na rakhiye sambhaal kar

gar puchhna hi hai to zamane ka haal puchh
bare paDosiyon ke na hum se sawal kar

'jaanib' nasib wale to chahenge bas yahi
ho faisle jahan mein sikke uchhaal kar


Leave a comment

+