Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


jhuTi KHabren ghaDne wale jhuTe sher sunane wale


jhūTī ḳhabreñ ghaḌne vaale jhūTe sher sunāne vaale
logo sabr ki apne kiye kī jald sazā haiñ paane vaale

dard āñkhoñ se bahtā hai aur chehra sab kuchh kahtā hai
ye mat likkho vo mat likkho aa.e baḌe samjhāne vaale

ḳhud kāTeñge apnī mushkil ḳhud pā.eñge apnī manzil
rāhzanoñ se bhī bad-tar haiñ rāh-numā kahlāne vaale

un se pyaar kiyā hai ham ne un kī raah meñ ham baiThe haiñ
nā-mumkin hai jin kā milnā aur nahīñ jo aane vaale

un par bhī hañstī thī duniyā āvāzeñ kastī thī duniyā
'jālib' apnī hī sūrat the ishq meñ jaañ se jaane vaale

jhuTi KHabren ghaDne wale jhuTe sher sunane wale
logo sabr ki apne kiye ki jald saza hain pane wale

dard aankhon se bahta hai aur chehra sab kuchh kahta hai
ye mat likkho wo mat likkho aae baDe samjhane wale

KHud kaTenge apni mushkil KHud paenge apni manzil
rahzanon se bhi bad-tar hain rah-numa kahlane wale

un se pyar kiya hai hum ne un ki rah mein hum baiThe hain
na-mumkin hai jin ka milna aur nahin jo aane wale

un par bhi hansti thi duniya aawazen kasti thi duniya
'jalib' apni hi surat the ishq mein jaan se jaane wale


Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 07.09.2015)

Leave a comment

+