Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


samundaron ke darmiyan sau gae


samundaroñ ke darmiyān so ga.e
thake hue jahāz-rān so ga.e

darīcha ek haule haule khul gayā
jab us galī ke sab makān so ga.e

sulagtī dopahar meñ sab dukān-dār
khulī hī chhoḌ kar dukān so ga.e

phir aaj ik sitāra jāgtā rahā
phir aaj saat āsmān so ga.e

havā chalī khule samundaroñ ke biich
thakan se chuur bādbān so ga.e

sahar huī to regzār jaag uThā
magar tamām sārbān so ga.e

us aañkh kī panāh ab nahīñ nasīb
palak palak vo sā.ebān so ga.e

'jamāl' āḳhir aisī ādateñ bhī kyā
ki ghar meñ shaam hī se aan so ga.e

samundaron ke darmiyan so gae
thake hue jahaz-ran so gae

daricha ek haule haule khul gaya
jab us gali ke sab makan so gae

sulagti dopahar mein sab dukan-dar
khuli hi chhoD kar dukan so gae

phir aaj ek sitara jagta raha
phir aaj sat aasman so gae

hawa chali khule samundaron ke bich
thakan se chur baadban so gae

sahar hui to regzar jag uTha
magar tamam sarban so gae

us aankh ki panah ab nahin nasib
palak palak wo saeban so gae

'jamal' aaKHir aisi aadaten bhi kya
ki ghar mein sham hi se aan so gae


Source: Book : aatish zer pa (Pg. 41) Author : zafar sehbai Publication : zafar sehbai Bhopal (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+