jab mire hoñToñ pe merī tishnagī rah jā.egī
terī āñkhoñ meñ bhī thoḌī sī namī rah jā.egī
sar-phirā jhoñkā havā kā toḌ degā shāḳh ko
phuul banñe kī tamannā meñ kalī rah jā.egī
ḳhatm ho jā.egā jis din bhī tumhārā intizār
ghar ke darvāze pe dastak chīḳhtī rah jā.egī
kyā ḳhabar thī aa.egā ik roz aisā vaqt bhī
merī goyā.ī tirā muñh dekhtī rah jā.egī
vaqt-e-ruḳhsat aa.egā aur ḳhatm hogā ye safar
mere dil kī baat mere dil meñ hī rah jā.egī
jab mere honTon pe meri tishnagi rah jaegi
teri aankhon mein bhi thoDi si nami rah jaegi
sar-phira jhonka hawa ka toD dega shaKH ko
phul banne ki tamanna mein kali rah jaegi
KHatm ho jaega jis din bhi tumhaara intizar
ghar ke darwaze pe dastak chiKHti rah jaegi
kya KHabar thi aaega ek roz aisa waqt bhi
meri goyai tera munh dekhti rah jaegi
waqt-e-ruKHsat aaega aur KHatm hoga ye safar
mere dil ki baat mere dil mein hi rah jaegi
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 106) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010
Leave a comment