Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


ye shahr-e-tarab dekh bayaban mein kya hai


ye shahr-e-tarab dekh bayābān meñ kyā hai
ai tā.ir-e-vahshat tire imkān meñ kyā hai

jugnū kī tarah phirte haiñ taare mire dil meñ
kis soch meñ gum huuñ ye mire dhyān meñ kyā hai

kyā un pe guzartī hai suno un kī zabānī
zaḳhmoñ se kabhī pūchho namak-dān meñ kyā hai

inkār se iqrār kā rishta hai bhalā kyā
ye kufr kī sūrat mire īmān meñ kyā hai

yādoñ kī ghanī chhāñv hai yā ġham kī siyāhī
ashjār-sifat sehan-e-dil-o-jān meñ kyā hai

ye shahr-e-tarab dekh bayaban mein kya hai
ai tair-e-wahshat tere imkan mein kya hai

jugnu ki tarah phirte hain tare mere dil mein
kis soch mein gum hun ye mere dhyan mein kya hai

kya un pe guzarti hai suno un ki zabani
zaKHmon se kabhi puchho namak-dan mein kya hai

inkar se iqrar ka rishta hai bhala kya
ye kufr ki surat mere iman mein kya hai

yaadon ki ghani chhanw hai ya gham ki siyahi
ashjar-sifat sehan-e-dil-o-jaan mein kya hai


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 220) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+