Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahzeeb Hafi

  • Ghazal


jab uski taswir banaya karta tha


jab us kī tasvīr banāyā kartā thā
kamrā rañgoñ se bhar jaayā kartā thā

peḌ mujhe hasrat se dekhā karte the
maiñ jañgal meñ paanī laayā kartā thā

thak jaatā thā bādal saaya karte karte
aur phir maiñ bādal pe saaya kartā thā

baiThā rahtā thā sāhil pe saarā din
dariyā mujh se jaan chhuḌāyā kartā thā

bint-e-sahrā rūThā kartī thī mujh se
maiñ sahrā se ret churāyā kartā thā

jab us ki taswir banaya karta tha
kamra rangon se bhar jaya karta tha

peD mujhe hasrat se dekha karte the
main jangal mein pani laya karta tha

thak jata tha baadal saya karte karte
aur phir main baadal pe saya karta tha

baiTha rahta tha sahil pe sara din
dariya mujh se jaan chhuDaya karta tha

bint-e-sahra ruTha karti thi mujh se
main sahra se ret churaya karta tha


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+