shahr meñ tanhā thā lekin karb-e-tanhā.ī na thā
ghar se bāhar rah ke maiñ itnā to saudā.ī na thā
ḳhud-baḳhud hī dost ban kar bante haiñ dushman ye log
varna az-ḳhud to mujhe zauq-e-shanāsā.ī na thā
terī nazroñ ne na jaane kitnī izzat baḳhsh dī
mujh ko pahle to kabhī bhī ḳhauf-e-rusvā.ī na thā
is bharī duniyā meñ bas ik maiñ tamāshā ban gayā
aur shāyad koī bhī terā tamannā.ī na thā
shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha
ghar se bahar rah ke main itna to saudai na tha
KHud-baKHud hi dost ban kar bante hain dushman ye log
warna az-KHud to mujhe zauq-e-shanasai na tha
teri nazron ne na jaane kitni izzat baKHsh di
mujh ko pahle to kabhi bhi KHauf-e-ruswai na tha
is bhari duniya mein bas ek main tamasha ban gaya
aur shayad koi bhi tera tamannai na tha
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 662) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment