har rāhat-e-jāñ lamhe se uftād kī zid hai
bedād zamāna bhī kisī daad kī zid hai
har ḳhair kisī shar se baqā-yāb huī hai
ye hsun-e-ta.adul bhī to azdād kī zid hai
ab āñkheñ bhalā kis tarah taqsīm kare maañ
dīvāreñ khaḌī karnā to aulād kī zid hai
girya nahīñ ma.aqūl ba-yād-e-kas-e-rafta
lekin ye tamāshā dil-e-nāshād kī zid hai
maiñ rāsta bhūlā huā pyāda huuñ mujhe kyā
rahbar ko agar jāda-e-barbād kī zid hai
maiñ ḳhud se nibhāne kā ravādār nahīñ thā
ye pahlī mohabbat mire ham-zād kī zid hai
haiñ fikr ke āsār ḳhudāoñ kī jabīñ par
ik abd-e-ziyāñ-kār ko ilhād kī zid hai
har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai
bedad zamana bhi kisi dad ki zid hai
har KHair kisi shar se baqa-yab hui hai
ye hsun-e-tadul bhi to azdad ki zid hai
ab aankhen bhala kis tarah taqsim kare man
diwaren khaDi karna to aulad ki zid hai
girya nahin maqul ba-yaad-e-kas-e-rafta
lekin ye tamasha dil-e-nashad ki zid hai
main rasta bhula hua pyaada hun mujhe kya
rahbar ko agar jada-e-barbaad ki zid hai
main KHud se nibhane ka rawadar nahin tha
ye pahli mohabbat mere ham-zad ki zid hai
hain fikr ke aasar KHudaon ki jabin par
ek abd-e-ziyan-kar ko ilhad ki zid hai
Leave a comment