Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Chandra Naqsh

  • Ghazal


arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha hun


arbāb-e-gulistāñ kā chalan dekh rahā huuñ
kaliyoñ kī jabīnoñ pe shikan dekh rahā huuñ

nazroñ meñ simaTtī chalī aatī haiñ bahāreñ
ik shoḳh kī ra.anā.ī-e-tan dekh rahā huuñ

har phuul tire husn kā ā.īna banā hai
jalve tire ai jān-e-chaman dekh rahā huuñ

hālāt kī gardish bhī nazar meñ hai magar aah!
majbūr nigāhoñ meñ thakan dekh rahā huuñ

phir shauq-e-shahādat meñ baḌhe aate haiñ jāñ-bāz
ik hashr sar-e-dār-o-rasan dekh rahā huuñ

ye vādi-e-gul-posh hasīnoñ ke ye jhurmuT
har samt sitāroñ ke chaman dekh rahā huuñ

ai 'naqsh' nazar meñ haiñ na.e daur ke andāz
miTte hue āsār-e-kuhan dekh rahā huuñ

arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha hun
kaliyon ki jabinon pe shikan dekh raha hun

nazron mein simaTti chali aati hain bahaaren
ek shoKH ki ranai-e-tan dekh raha hun

har phul tere husn ka aaina bana hai
jalwe tere ai jaan-e-chaman dekh raha hun

haalat ki gardish bhi nazar mein hai magar aah!
majbur nigahon mein thakan dekh raha hun

phir shauq-e-shahadat mein baDhe aate hain jaan-baz
ek hashr sar-e-dar-o-rasan dekh raha hun

ye wadi-e-gul-posh hasinon ke ye jhurmuT
har samt sitaron ke chaman dekh raha hun

ai 'naqsh' nazar mein hain nae daur ke andaz
miTte hue aasar-e-kuhan dekh raha hun


Source: Book : Andaaz (Pg. 130) Author : Mahesh Chandr Naqsh Publication : Sangam Kitab Ghar,  Delhi (1962) Edition : 1962

Leave a comment

+