Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe


sabhī ko apnā samajhtā huuñ kyā huā hai mujhe
bichhaḌ ke tujh se ajab rog lag gayā hai mujhe

jo muḌ ke dekhā to ho jā.egā badan patthar
kahāniyoñ meñ sunā thā so bhognā hai mujhe

maiñ tujh ko bhuul na paayā yahī ġhanīmat hai
yahāñ to is kā bhī imkān lag rahā hai mujhe

maiñ sard jañg kī aadat na Daal pā.ūñgā
koī mahāz pe vāpas bulā rahā hai mujhe

saḌak pe chalte hue āñkheñ band rakhtā huuñ
tire jamāl kā aisā maza paḌā hai mujhe

abhī talak to koī vāpsī kī raah na thī
kal ek rāhguzar kā pata lagā hai mujhe

sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe

jo muD ke dekha to ho jaega badan patthar
kahaniyon mein suna tha so bhogna hai mujhe

main tujh ko bhul na paya yahi ghanimat hai
yahan to is ka bhi imkan lag raha hai mujhe

main sard jang ki aadat na Dal paunga
koi mahaz pe wapas bula raha hai mujhe

saDak pe chalte hue aankhen band rakhta hun
tere jamal ka aisa maza paDa hai mujhe

abhi talak to koi wapsi ki rah na thi
kal ek rahguzar ka pata laga hai mujhe

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe Nomaan Shauque

Leave a comment

+