Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jai Prakash Ghafil

  • Ghazal


kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun


kanār-e-dariyā junūn-e-tūfāñ har ek gauhar kī aab maiñ huuñ
baġhair mere sabhī haiñ paanī ki maujoñ kā iztirāb maiñ huuñ

ye vaqt kā be-karāñ samundar maiñ us kī had tak pahuñch na paayā
girā thā sāhil pe TuuT kar jo huā thā jo ġharq-e-āb maiñ huuñ

na jaane kyā hai ki merī hastī kisī kī āñkhoñ kā mai-kada hai
subū bhī maiñ huuñ huuñ maiñ hī saaqī ayāġh maiñ huuñ sharāb maiñ huuñ

tire karam kī kiran ne mujh ko uThāyā pastī se āsmāñ par
kabhī ye shak āftāb maiñ huuñ kabhī gumāñ māhtāb maiñ huuñ

jahāñ nahīñ thā vahāñ bhī maiñ thā tū dekh kar bhī na dekh paayā
kalām bhī maiñ sukūt bhī maiñ savāl maiñ huuñ javāb maiñ huuñ

usī ne har shab kī sub.h kī hai har ik diye kī vo raushnī hai
kabhī mujassam bhī ho ke kah de ki dekh terā hī ḳhvāb maiñ huuñ

kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun
baghair mere sabhi hain pani ki maujon ka iztirab main hun

ye waqt ka be-karan samundar main us ki had tak pahunch na paya
gira tha sahil pe TuT kar jo hua tha jo gharq-e-ab main hun

na jaane kya hai ki meri hasti kisi ki aankhon ka mai-kada hai
subu bhi main hun hun main hi saqi ayagh main hun sharab main hun

tere karam ki kiran ne mujh ko uThaya pasti se aasman par
kabhi ye shak aaftab main hun kabhi guman mahtab main hun

jahan nahin tha wahan bhi main tha tu dekh kar bhi na dekh paya
kalam bhi main sukut bhi main sawal main hun jawab main hun

usi ne har shab ki subh ki hai har ek diye ki wo raushni hai
kabhi mujassam bhi ho ke kah de ki dekh tera hi KHwab main hun


Source:

Leave a comment

+