Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Chandra Naqsh

  • Ghazal


jab wo hans hans ke baat karte hain


jab vo hañs hañs ke baat karte haiñ
dil ko kyā kyā gumāñ guzarte haiñ

ye mohabbat kī rahguzar hai yahāñ
log bach bach ke paañv dharte haiñ

husn hotā hai ishq kī tasvīr
aise lamhe bhī kuchh guzarte haiñ

araq-ālūd chehra-e-rañgīñ
jaise shabnam se gul nikharte haiñ

ba.ad-e-hastī musāfirān-e-adam
kaun jaane kahāñ Thaharte haiñ

jab wo hans hans ke baat karte hain
dil ko kya kya guman guzarte hain

ye mohabbat ki rahguzar hai yahan
log bach bach ke panw dharte hain

husn hota hai ishq ki taswir
aise lamhe bhi kuchh guzarte hain

araq-alud chehra-e-rangin
jaise shabnam se gul nikharte hain

baad-e-hasti musafiran-e-adam
kaun jaane kahan Thaharte hain


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+