Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Chandra Naqsh

  • Ghazal


un ke gesu sanwarte jate hain


un ke gesū sañvarte jaate haiñ
hādse haiñ guzarte jaate haiñ

vaqt suntā hai jin kī āvāzeñ
haa.e vo log marte jaate haiñ

Dūbne vaale mauj-e-tūfāñ se
jaane kyā baat karte jaate haiñ

yuuñ guzarte haiñ hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate haiñ

hosh meñ aa rahe haiñ dīvāne
kis ke jalve bikharte jaate haiñ

kyā ḳhabar aaj kis kī yādoñ ke
'naqsh' dil par ubharte jaate haiñ

un ke gesu sanwarte jate hain
hadse hain guzarte jate hain

waqt sunta hai jin ki aawazen
hae wo log marte jate hain

Dubne wale mauj-e-tufan se
jaane kya baat karte jate hain

yun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise wo baat karte jate hain

hosh mein aa rahe hain diwane
kis ke jalwe bikharte jate hain

kya KHabar aaj kis ki yaadon ke
'naqsh' dil par ubharte jate hain


Leave a comment

+