Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem ahmad

  • Ghazal


pane ki tarah ka na to khone ki tarah ka


paane kī tarah kā na to khone kī tarah kā
honā bhī yahāñ par hai na hone kī tarah kā

ma.alūm nahīñ niiñd kise kahte haiñ lekin
kartā to huuñ ik kaam maiñ sone kī tarah kā

hañsne kī tarah kā koī mausam mire bāhar
manzar mire andar koī rone kī tarah kā

aisī koī hālat hai ki muddat se badan ko
ik marhala darpesh hai Dhone kī tarah kā

pahle kī tarah aadmī miltā to hai lekin
aadhe kī tarah kā kabhī paune kī tarah kā

pane ki tarah ka na to khone ki tarah ka
hona bhi yahan par hai na hone ki tarah ka

malum nahin nind kise kahte hain lekin
karta to hun ek kaam main sone ki tarah ka

hansne ki tarah ka koi mausam mere bahar
manzar mere andar koi rone ki tarah ka

aisi koi haalat hai ki muddat se badan ko
ek marhala darpesh hai Dhone ki tarah ka

pahle ki tarah aadmi milta to hai lekin
aadhe ki tarah ka kabhi paune ki tarah ka


Leave a comment

+