Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghamgeen Dehlvi

  • Ghazal


uske kuche mein gaya main so phir aaya na gaya


us ke kūche meñ gayā maiñ so phir aayā na gayā
maiñ vahāñ aap ko DhūñDā to maiñ paayā na gayā

gum huā dil mire pahlū se ki paayā na gayā
shāyad us kūche meñ jā us se phir aayā na gayā

dam-ba-ḳhud ho ke muā us kī nazākat ke sabab
āh-o-nāla bhī mujhe us ko sunāyā na gayā

us ne ik roz meñ sau baar rulāyā mujh ko
mujh se par us but-e-ḳhush-ḳhū ko manāyā na gayā

ba.ad ik umar ke kyā tujh se kahūñ ai 'ġhamgīñ'
hāl-e-dil us ne jo pūchhā to sunāyā na gayā

us ke kuche mein gaya main so phir aaya na gaya
main wahan aap ko DhunDa to main paya na gaya

gum hua dil mere pahlu se ki paya na gaya
shayad us kuche mein ja us se phir aaya na gaya

dam-ba-KHud ho ke mua us ki nazakat ke sabab
aah-o-nala bhi mujhe us ko sunaya na gaya

us ne ek roz mein sau bar rulaya mujh ko
mujh se par us but-e-KHush-KHu ko manaya na gaya

baad ek umar ke kya tujh se kahun ai 'ghamgin'
haal-e-dil us ne jo puchha to sunaya na gaya


Leave a comment

+