Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Mittal

  • Ghazal


faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni


faqat ik shaġhl bekārī hai ab bāda-kashī apnī
vo mahfil uTh ga.ī qaa.em thī jis se sarḳhushī apnī

ḳhudā yā nā-ḳhudā ab jis ko chāho baḳhsh do izzat
haqīqat meñ to kashtī ittifāqan bach ga.ī apnī

bas ab guzreñge rāh-e-zindagī se be-niyāzāna
agar tere karam par munhasir hai zindagī apnī

bahut jī chāhtā hai ye faqat naqs-e-basārat ho
baḌī sur.at se duniyā kho rahī hai dilkashī apnī

ḳhamoshī par bhī hai un ko gumāñ arz-e-tamannā kā
zabān-e-hāl se kuchh kah ga.ī vāraftagī apnī

agar tum hañs diye ahvāl-e-dil par kyā ta.ajjub hai
ki maiñ ḳhud bhī ba-mushkil zabt kartā huuñ hañsī apnī

huī haiñ bārisheñ sañg-e-malāmat kī bahut lekin
rahe vaz-e-junūñ qaa.em hai shorīda-sarī apnī

faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni
wo mahfil uTh gai qaem thi jis se sarKHushi apni

KHuda ya na-KHuda ab jis ko chaho baKHsh do izzat
haqiqat mein to kashti ittifaqan bach gai apni

bas ab guzrenge rah-e-zindagi se be-niyazana
agar tere karam par munhasir hai zindagi apni

bahut ji chahta hai ye faqat naqs-e-basarat ho
baDi surat se duniya kho rahi hai dilkashi apni

KHamoshi par bhi hai un ko guman arz-e-tamanna ka
zaban-e-haal se kuchh kah gai waraftagi apni

agar tum hans diye ahwal-e-dil par kya tajjub hai
ki main KHud bhi ba-mushkil zabt karta hun hansi apni

hui hain barishen sang-e-malamat ki bahut lekin
rahe waz-e-junun qaem hai shorida-sari apni


Leave a comment

+