choT khaa.ī ho jis ne ulfat kī
kyā kare baat vo masarrat kī
chaar din hañs ke umr bhar ronā
dāstāñ muḳhtasar hai ulfat kī
ek dhokā hai ḳhud-farebī hai
aarzū is jahāñ meñ rāhat kī
aadmī aadmī kā dushman hai
uf ye tazlīl ādamiyat kī
shoḳh aisā banā diyā tum ko
ye bhī san.at hai ik mashiyyat kī
kaash miT jaa.eñ kū-e-jānāñ meñ
ham ko ḳhvāhish nahīñ hai jannat kī
dil jalāne pe bhī na duur huī
tīrgī ai 'naresh' furqat kī
choT khai ho jis ne ulfat ki
kya kare baat wo masarrat ki
chaar din hans ke umr bhar rona
dastan muKHtasar hai ulfat ki
ek dhoka hai KHud-farebi hai
aarzu is jahan mein rahat ki
aadmi aadmi ka dushman hai
uf ye tazlil aadamiyat ki
shoKH aisa bana diya tum ko
ye bhi sanat hai ek mashiyyat ki
kash miT jaen ku-e-jaanan mein
hum ko KHwahish nahin hai jannat ki
dil jalane pe bhi na dur hui
tirgi ai 'naresh' furqat ki
Leave a comment