Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


ek wo hain ki wada koi ifa nahin karte


ik vo haiñ ki va.ada koī iifā nahīñ karte
ik ham haiñ ki us kā koī shikva nahīñ karte

un kā to hai dastūr bhulā dete haiñ sab ko
ham un ko kisī haal meñ bhūlā nahīñ karte

ro ro ke shab-o-roz tire hijr meñ ai dost
ham apnī mohabbat kā tamāshā nahīñ karte

tum jin kī nigāhoñ meñ samā jaate ho phir vo
duniyā kī kisī shai kī tamannā nahīñ karte

āgāh-e-rah-o-rasm-e-mohabbat haiñ jo āshiq
vo ḳhud ko fuġhāñ se kabhī rusvā nahīñ karte

hai un kī ḳhushī meñ hī 'naresh' apnī masarrat
ham apne ġham-o-dard kī parvā nahīñ karte

ek wo hain ki wada koi ifa nahin karte
ek hum hain ki us ka koi shikwa nahin karte

un ka to hai dastur bhula dete hain sab ko
hum un ko kisi haal mein bhula nahin karte

ro ro ke shab-o-roz tere hijr mein ai dost
hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

tum jin ki nigahon mein sama jate ho phir wo
duniya ki kisi shai ki tamanna nahin karte

aagah-e-rah-o-rasm-e-mohabbat hain jo aashiq
wo KHud ko fughan se kabhi ruswa nahin karte

hai un ki KHushi mein hi 'naresh' apni masarrat
hum apne gham-o-dard ki parwa nahin karte


Leave a comment

+