jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gayā
hāsil-e-guftār-e-sarmad khul gayā
TuuT kar aa.ī hai us gul par bahār
jism lau dene lagā qad khul gayā
sub.h laa.ī hai rihā.ī kī naved
āsmāñ khulte hī gumbad khul gayā
kār-zār-e-ishq meñ aane ke ba.ad
rañg-e-mīrās-e-ab-o-jad khul gayā
ḳhud-baḳhud aayā hai lab par us kā naam
ruuh par unvān-e-arshad khul gayā
reg-e-sahrā le uḌī bād-e-shimāl
dasht gum hote hī ma.abad khul gayā
aa ga.ī 'sājid' zabāñ par dil kī baat
aaj āḳhir un kā maqsad khul gayā
jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gaya
hasil-e-guftar-e-sarmad khul gaya
TuT kar aai hai us gul par bahaar
jism lau dene laga qad khul gaya
subh lai hai rihai ki nawed
aasman khulte hi gumbad khul gaya
kar-zar-e-ishq mein aane ke baad
rang-e-miras-e-ab-o-jad khul gaya
KHud-baKHud aaya hai lab par us ka nam
ruh par unwan-e-arshad khul gaya
reg-e-sahra le uDi baad-e-shimal
dasht gum hote hi mabad khul gaya
aa gai 'sajid' zaban par dil ki baat
aaj aaKHir un ka maqsad khul gaya
Leave a comment