yārā-e-guftugū nahīñ āñkhoñ meñ dam nahīñ
ye ḳhāmushī bhī arz-e-tamannā se kam nahīñ
vīrān kis qadar hai guzar-gāh-e-ārzū
is rahguzar meñ koī bhī naqsh-e-qadam nahīñ
qaa.em rahī junūñ meñ bhī ik vaz-e-ehtiyāt
dil ḳhuun ho gayā hai magar aañkh nam nahīñ
dil hai jamāl-e-yār kī lazzat se faizyāb
is aa.ine meñ koī bhī tasvīr-e-ġham nahīñ
'hāfiz' ik iztirāb-e-musalsal hai zindagī
is manzil-e-vafā meñ kahīñ pech-o-ḳham nahīñ
yara-e-guftugu nahin aankhon mein dam nahin
ye KHamushi bhi arz-e-tamanna se kam nahin
viran kis qadar hai guzar-gah-e-arzu
is rahguzar mein koi bhi naqsh-e-qadam nahin
qaem rahi junun mein bhi ek waz-e-ehtiyat
dil KHun ho gaya hai magar aankh nam nahin
dil hai jamal-e-yar ki lazzat se faizyab
is aaine mein koi bhi taswir-e-gham nahin
'hafiz' ek iztirab-e-musalsal hai zindagi
is manzil-e-wafa mein kahin pech-o-KHam nahin
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment