Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prabudha Saurabh

  • Ghazal


bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya


bach-bachā kar jab kahā tārīf maiñ kam paḌ gayā
aur khul ke likh diyā to sher meñ zam paḌ gayā

vaqt par nikle the aur ab tak pahuñch jaate bhī ham
biich meñ lekin muā aamoñ kā mausam paḌ gayā

chaudhvīñ kī raat thī par chāñdnī thirkī nahīñ
dekh ghuñgrū kī udāsī chāñd maddham paḌ gayā

sañg-e-marmar kī zamīñ par ek sikka yuuñ girā
do ghaḌī ko chhaTpaTāyā aur be-dam paḌ gayā

is takalluf ke shahar meñ log kāñToñ se chubhe
tū jo apnā sā lagā to dil pe marham paḌ gayā

bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paD gaya
aur khul ke likh diya to sher mein zam paD gaya

waqt par nikle the aur ab tak pahunch jate bhi hum
bich mein lekin mua aamon ka mausam paD gaya

chaudhwin ki raat thi par chandni thirki nahin
dekh ghungru ki udasi chand maddham paD gaya

sang-e-marmar ki zamin par ek sikka yun gira
do ghaDi ko chhaTpaTaya aur be-dam paD gaya

is takalluf ke shahar mein log kanTon se chubhe
tu jo apna sa laga to dil pe marham paD gaya


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 277) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+