bujhā chukī hai havā jis ko vo diyā bhī maiñ
magar ye dekh bahut der tak jalā bhī maiñ
tavīl dhuup kī shiddat havāoñ kī yūrish
sahī bhī maiñ ne sar-e-dasht-e-ġham khilā bhī maiñ
mile qayām ke ahkām bhī mujhī ko yahāñ
masāfatoñ kā parastār ek thā bhī maiñ
mire nasīb meñ patjhaḌ ke rāstoñ kā safar
sadā-bahār dayāroñ se āshnā bhī maiñ
mujhī se aa.ī thī milne udaas chāñdnī raat
agar ye jāntā hotā to jāgtā bhī maiñ
mirī taraf thiiñ kabhī bārisheñ bhī phūloñ kī
hisār-e-sañg-o-sadā meñ ghirā huā bhī maiñ
ye sochtā huuñ kahūñ ḳhud ko 'qāsmī'! maiñ kyaa?
sukūt bhī mire andar bahut sadā bhī maiñ
bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main
magar ye dekh bahut der tak jala bhi main
tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish
sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khila bhi main
mile qayam ke ahkaam bhi mujhi ko yahan
masafaton ka parastar ek tha bhi main
mere nasib mein patjhaD ke raston ka safar
sada-bahaar dayaron se aashna bhi main
mujhi se aai thi milne udas chandni raat
agar ye jaanta hota to jagta bhi main
meri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki
hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main
ye sochta hun kahun KHud ko 'qasmi'! main kya?
sukut bhi mere andar bahut sada bhi main
Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Leave a comment