Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Aajiz

  • Ghazal


jahan gham mila uThaya phir use ghazal mein Dhaala


jahāñ ġham milā uThāyā phir use ġhazal meñ Dhālā
yahī dard-e-sar ḳharīdā yahī rog ham ne paalā

tire haath se milī hai mujhe āñsuoñ kī maalā
tirī zulf ho do-gūna tirā husn ho do-bālā

ye samāñ use dikhā.ūñ sabā jā use bulā lā
na bahār hai na saaqī na sharāb hai na pyālā

mire dard kī haqīqat koī mere dil se pūchhe
ye charāġh vo hai jis se mire ghar meñ hai ujālā

use anjuman mubārak mujhe fikr-o-fan mubārak
yahī merā taḳht-e-zarrīñ yahīñ merī mirg-chhālā

jahan gham mila uThaya phir use ghazal mein Dhaala
yahi dard-e-sar KHarida yahi rog hum ne pala

tere hath se mili hai mujhe aansuon ki mala
teri zulf ho do-guna tera husn ho do-baala

ye saman use dikhaun saba ja use bula la
na bahaar hai na saqi na sharab hai na pyala

mere dard ki haqiqat koi mere dil se puchhe
ye charagh wo hai jis se mere ghar mein hai ujala

use anjuman mubarak mujhe fikr-o-fan mubarak
yahi mera taKHt-e-zarrin yahin meri mirg-chhaala


Pakistan"

Leave a comment

+