Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghazal Ansari

  • Ghazal


na fikr karna hamare dil ki na us junun ka malal rakhna


na fikr karnā hamāre dil kī na us junūñ kā malāl rakhnā
ye iltijā hai hamārī tum se tum apne dil ko sambhāl rakhnā

vo shām-e-ġham jo guzārī ham ne koī guzāre to jaan paa.e
kaThin hai kitnā hai kaisā mushkil uThā ke maazī meñ haal rakhnā

koī sahīfa samajh ke rakkhā tumhāre ḳhat ko chhupā ke dil meñ
mirī mohabbat ko apne dil meñ hamesha tum lā-zavāl rakhnā

tumhī ko chāhā tumhī ko puujā tumhī ko dil meñ sajā ke rakkhā
yahī hai sheva yahī vatīra nazar meñ terā jamāl rakhnā

ujālā karte tumhāre ghar meñ jo bas meñ hotā 'ġhazal' hamāre
duā hamārī hai umr saarī ḳhudī ko tum bā-kamāl rakhnā

na fikr karna hamare dil ki na us junun ka malal rakhna
ye iltija hai hamari tum se tum apne dil ko sambhaal rakhna

wo sham-e-gham jo guzari hum ne koi guzare to jaan pae
kaThin hai kitna hai kaisa mushkil uTha ke mazi mein haal rakhna

koi sahifa samajh ke rakkha tumhaare KHat ko chhupa ke dil mein
meri mohabbat ko apne dil mein hamesha tum la-zawal rakhna

tumhi ko chaha tumhi ko puja tumhi ko dil mein saja ke rakkha
yahi hai shewa yahi watira nazar mein tera jamal rakhna

ujala karte tumhaare ghar mein jo bas mein hota 'ghazal' hamare
dua hamari hai umr sari KHudi ko tum ba-kamal rakhna


Leave a comment

+