na.e safar meñ jo pichhle safar ke sāthī the
phir aa.e yaad ki us rahguzar ke sāthī the
kahūñ bhī kyā mujhe pal-bhar meñ jo bikher ga.e
havā ke jhoñke mirī umr-bhar ke sāthī the
sitāre TuuT ga.e os bhī bikhar sī ga.ī
yahī the jo mirī shām-o-sahar ke sāthī the
shafaq ke saath bahut der tak dikhā.ī diye
vo saare log jo bas rāt-bhar ke sāthī the
ye kaisī hijr kī shab vo bhī saath chhoḌ ga.e
jo chāñd-tāre mirī chashm-e-tar ke sāthī the
nae safar mein jo pichhle safar ke sathi the
phir aae yaad ki us rahguzar ke sathi the
kahun bhi kya mujhe pal-bhar mein jo bikher gae
hawa ke jhonke meri umr-bhar ke sathi the
sitare TuT gae os bhi bikhar si gai
yahi the jo meri sham-o-sahar ke sathi the
shafaq ke sath bahut der tak dikhai diye
wo sare log jo bas raat-bhar ke sathi the
ye kaisi hijr ki shab wo bhi sath chhoD gae
jo chand-tare meri chashm-e-tar ke sathi the
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment