Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aakif Ghani

  • Ghazal


dil samundar tha lekin ye tishna-labi


dil samundar thā lekin ye tishna-labī
merī qismat meñ kis roz likkhī ga.ī

aañkh pur-nam magar muskurāhaT mirī
kah rahī thī kahānī mire ishq kī

ishq ke sail ko rokne ke liye
ġham kī dīvār raste meñ rakh dī ga.ī

zulmateñ sah gayā maiñ isī aas par
chāñd niklā to jā.egī tīra-shabī

dilrubā shahr ke kuchh se kuchh ho ga.e
merī manzil musalsal vahī kī vahī

ḳhaar chubhte ga.e ḳhaar chuntā gayā
thā parastār-e-gulzār ākif-'ġhanī'

dil samundar tha lekin ye tishna-labi
meri qismat mein kis roz likkhi gai

aankh pur-nam magar muskurahaT meri
kah rahi thi kahani mere ishq ki

ishq ke sail ko rokne ke liye
gham ki diwar raste mein rakh di gai

zulmaten sah gaya main isi aas par
chand nikla to jaegi tira-shabi

dilruba shahr ke kuchh se kuchh ho gae
meri manzil musalsal wahi ki wahi

KHar chubhte gae KHar chunta gaya
tha parastar-e-gulzar aakif-'ghani'


Source: Waridat

Leave a comment

+