Subscribe to our newsletter and get our newest updates

zafar iqbal zafar

  • Ghazal


ek jumbish mein kaT bhi sakte hain


ek jumbish meñ kaT bhī sakte haiñ
dhaar par rakkhe sab ke chehre haiñ

ret kā ham libās pahne haiñ
aur havā ke safar pe nikle haiñ

maiñ ne apnī zabāñ to rakh dī hai
dekhūñ patthar ye nam bhī hote haiñ

aise logoñ se milnā-julnā hai
saañp jo āstīñ meñ paale haiñ

koī pursāñ nahīñ ġhamoñ kā 'zafar'
dekhne meñ hazār rishte haiñ

ek jumbish mein kaT bhi sakte hain
dhaar par rakkhe sab ke chehre hain

ret ka hum libas pahne hain
aur hawa ke safar pe nikle hain

main ne apni zaban to rakh di hai
dekhun patthar ye nam bhi hote hain

aise logon se milna-julna hai
sanp jo aastin mein pale hain

koi pursan nahin ghamon ka 'zafar'
dekhne mein hazar rishte hain


Source: Book : Nuquush Lahore (Pg. 457) Author : Mohd Tufail Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 ) Edition : Feb.1956

Leave a comment

+