Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


kyun qatl ke arman mein aazar uThaen


kyuuñ qatl ke armān meñ āzār uThā.eñ
gardan mirī hāzir hai vo talvār uThā.eñ

roke se mirī tab-e-ravāñ ruk na sakegī
raste meñ mire laakh vo dīvār uThā.eñ

jo dil meñ tumhāre hai batā kyuuñ nahīñ dete
sadma jo uThānā hai to yakbār uThā.eñ

kyuuñ log haiñ ḳhāmosh zabūñ-hāl pe apne
āvāz sar-e-kūcha-o-bāzār uThā.eñ

ḳhud hī jo pas-e-parda-e-asrār chhupe haiñ
vo kaise bhalā parda-e-asrār uThā.eñ

nīlām jo karte haiñ yahāñ jins-e-vafā ko
mumkin hī nahīñ nāz-e-ḳharīdār uThā.eñ

ye jurm-e-mohabbat nahīñ vaa.iz kā muqaddar
ye bār-e-gunāh ham se gunahgār uThā.eñ

phirte haiñ jo āzād unheñ kaise ḳhabar ho
zindāñ meñ jo taklīf-e-giraftār uThā.eñ

'shāhid' yahī likkhā hai muqaddar meñ hamāre
sadmāt zamāne meñ lagātār uThā.eñ

kyun qatl ke arman mein aazar uThaen
gardan meri hazir hai wo talwar uThaen

roke se meri tab-e-rawan ruk na sakegi
raste mein mere lakh wo diwar uThaen

jo dil mein tumhaare hai bata kyun nahin dete
sadma jo uThana hai to yakbar uThaen

kyun log hain KHamosh zabun-haal pe apne
aawaz sar-e-kucha-o-bazar uThaen

KHud hi jo pas-e-parda-e-asrar chhupe hain
wo kaise bhala parda-e-asrar uThaen

nilam jo karte hain yahan jins-e-wafa ko
mumkin hi nahin naz-e-KHaridar uThaen

ye jurm-e-mohabbat nahin waiz ka muqaddar
ye bar-e-gunah hum se gunahgar uThaen

phirte hain jo aazad unhen kaise KHabar ho
zindan mein jo taklif-e-giraftar uThaen

'shahid' yahi likkha hai muqaddar mein hamare
sadmat zamane mein lagatar uThaen


Leave a comment

+