zindagī kā banā sahārā bhī
aur un ke karam ne maarā bhī
ishq hī phir palaT ke aa na sakā
husn-e-maġhrūr ne pukārā bhī
kaun Duubā jo yuuñ pashemāñ hai
mauj-e-tūfāñ bhī tez dhārā bhī
ham na duniyā kī raah par chalte
dil ko hotā agar gavārā bhī
umr bhar tīrgī se khele hai
koī hañstā huā sitārā bhī
phuul rote haiñ ḳhaar hañste haiñ
dekh! gulshan kā ye nazārā bhī
dil kī duniyā to jagmagā uTThe
'naqsh' bhaḌke koī sharārā bhī
zindagi ka bana sahaara bhi
aur un ke karam ne mara bhi
ishq hi phir palaT ke aa na saka
husn-e-maghrur ne pukara bhi
kaun Duba jo yun pasheman hai
mauj-e-tufan bhi tez dhaara bhi
hum na duniya ki rah par chalte
dil ko hota agar gawara bhi
umr bhar tirgi se khele hai
koi hansta hua sitara bhi
phul rote hain KHar hanste hain
dekh! gulshan ka ye nazara bhi
dil ki duniya to jagmaga uTThe
'naqsh' bhaDke koi sharara bhi
Source: Book : Andaaz (Pg. 160) Author : Mahesh Chandr Naqsh Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962) Edition : 1962
Leave a comment