Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aal-e-Ahmad Suroor

  • Ghazal


yun jo uftad paDe hum pe wo sah jate hain


yuuñ jo uftād paḌe ham pe vo sah jaate haiñ
haañ kabhī baat jo kahne kī hai kah jaate haiñ

na chaTānoñ kī salābat hai na dariyā kā jalāl
log tinke haiñ jo har mauj meñ bah jaate haiñ

ye na.ī nasl hai is vāste ḳhālī ḳhālī
dard jitne haiñ vo bātoñ hī meñ bah jaate haiñ

aamad aamad kisī ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kī hai
peshvā.ī ke liye anjum o mah jaate haiñ

zindagī ban ga.ī dīvānoñ kī ik dauḌ 'surūr'
ham se kitne haiñ jo is dauḌ meñ rah jaate haiñ

yun jo uftad paDe hum pe wo sah jate hain
han kabhi baat jo kahne ki hai kah jate hain

na chaTanon ki salabat hai na dariya ka jalal
log tinke hain jo har mauj mein bah jate hain

ye nai nasl hai is waste KHali KHali
dard jitne hain wo baaton hi mein bah jate hain

aamad aamad kisi KHurshid-e-jahan-tab ki hai
peshwai ke liye anjum o mah jate hain

zindagi ban gai diwanon ki ek dauD 'surur'
hum se kitne hain jo is dauD mein rah jate hain

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 yun jo uftad paDe hum pe wo sah jate hain Nomaan Shauque

Leave a comment

+