Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Mehdi

  • Ghazal


laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya


laraz laraz ke na TūTeñ to vo sitāre kyā
jinheñ na hosh ho ġham kā vo ġham ke maare kyā

mahakte ḳhuun se sahrā jale hue gulshan
nazar-fareb haiñ duniyā ke ye nazzāre kyā

ummīd-o-bīm kī ye kashmakash hai rāz-e-hayāt
sukūñ-navāz haiñ is ke sivā sahāre kyā

koī hazār miTā.e ubharte aa.e haiñ
ham ahl-e-dard junūn-e-jafā se haare kyā

laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya
jinhen na hosh ho gham ka wo gham ke mare kya

mahakte KHun se sahra jale hue gulshan
nazar-fareb hain duniya ke ye nazzare kya

ummid-o-bim ki ye kashmakash hai raaz-e-hayat
sukun-nawaz hain is ke siwa sahaare kya

koi hazar miTae ubharte aae hain
hum ahl-e-dard junun-e-jafa se haare kya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya Nomaan Shauque

Source: Book : Urdu Adab (Pg. 69) Author : Iqbal Hussain Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996) Edition : Jan, Feb. Mar 1996

Leave a comment

+