Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ramish

  • Ghazal


DhunDhti phirti hai ab usko nigah-e-wapsin


DhūñDhtī phirtī hai ab us ko nigāh-e-vāpsīñ
us darīche meñ ik afsānī tabassum thā kahīñ

saarī tashbīhāt dafnā deñ bayābāñ meñ kahīñ
terā kyā duniyā meñ koī bhī kisī jaisā nahīñ

toḌ kar ik husn har din tujh ko rakkhā hai hasīñ
zindagī kyā apne baare meñ bhī ab socheñ hameñ

ab to is sahrā ke har goshe pe hotā hai gumāñ
gir gayā hai jaise merā āḳhirī sikka yahīñ

ik tabassum ḳhud pe thoḌā rahm kar lene ko hai
aur agar ye shai bhī mujh se kho ga.ī kal tak kahīñ

tanz kartā huuñ maiñ logoñ se ulajh letā bhī huuñ
mujh se laḌ lo jab talak gūñgī hai merī āstīñ

roz-o-shab ke karb kā radd-e-amal ik ḳhāmushī
ziist zālim baap kī majbūr beTī to nahīñ

DhunDhti phirti hai ab us ko nigah-e-wapsin
us dariche mein ek afsani tabassum tha kahin

sari tashbihat dafna den bayaban mein kahin
tera kya duniya mein koi bhi kisi jaisa nahin

toD kar ek husn har din tujh ko rakkha hai hasin
zindagi kya apne bare mein bhi ab sochen hamein

ab to is sahra ke har goshe pe hota hai guman
gir gaya hai jaise mera aaKHiri sikka yahin

ek tabassum KHud pe thoDa rahm kar lene ko hai
aur agar ye shai bhi mujh se kho gai kal tak kahin

tanz karta hun main logon se ulajh leta bhi hun
mujh se laD lo jab talak gungi hai meri aastin

roz-o-shab ke karb ka radd-e-amal ek KHamushi
zist zalim bap ki majbur beTi to nahin


Source: Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11

Leave a comment

+