Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Sipra

  • Ghazal


chhat ki kaDiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le


chhat kī kaḌiyāñ jāñch le dīvār-o-dar ko dekh le
mujh ko apnāne se pahle mere ghar ko dekh le

chand lamhoñ kā nahīñ ye umr bhar kā hai safar
raah kī paḌtāl kar le rāhbar ko dekh le

apnī chādar kī tavālat dekh kar paañv pasār
bojh sar par lādne se qabl sar ko dekh le

ek harakat se badal jaatā hai lafzoñ kā mizāj
apnī har tahrīr meñ zer-o-zabar ko dekh le

jānib-e-bāzār patthar pheñkne se peshtar
tū kisī 'siprā'-numā shorīda-sar ko dekh le

chhat ki kaDiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le
mujh ko apnane se pahle mere ghar ko dekh le

chand lamhon ka nahin ye umr bhar ka hai safar
rah ki paDtal kar le rahbar ko dekh le

apni chadar ki tawalat dekh kar panw pasar
bojh sar par ladne se qabl sar ko dekh le

ek harakat se badal jata hai lafzon ka mizaj
apni har tahrir mein zer-o-zabar ko dekh le

jaanib-e-bazar patthar phenkne se peshtar
tu kisi 'sipra'-numa shorida-sar ko dekh le


Leave a comment

+