māl-o-zar kī qadr kyā ḳhūn-e-jigar ke sāmne
ahl-e-duniyā hech haiñ ahl-e-hunar ke sāmne
der tak maiñ ne nahīñ dekhī parindoñ ke uḌaan
der tak baiThā thā koī mere ghar ke sāmne
paañv paḌ jaatī haiñ lahreñ pīchhe paḌ jaatī hai shaam
roz sūraj Duub jaatā hai nazar ke sāmne
jhiil par kaaTī haiñ kitnī chāñdnī rāteñ magar
sher kī devī nahīñ aa.ī utar ke sāmne
ye julūs-e-rañg apne saath kyā kuchh le gayā
qatl-e-gul hotā rahā dīvār-o-dar ke sāmne
vaqt-e-marham hai magar marham kā bhī ik vaqt hai
ro paḌā huuñ ik purāne ham-safar ke sāmne
mal-o-zar ki qadr kya KHun-e-jigar ke samne
ahl-e-duniya hech hain ahl-e-hunar ke samne
der tak main ne nahin dekhi parindon ke uDan
der tak baiTha tha koi mere ghar ke samne
panw paD jati hain lahren pichhe paD jati hai sham
roz suraj Dub jata hai nazar ke samne
jhil par kaTi hain kitni chandni raaten magar
sher ki dewi nahin aai utar ke samne
ye julus-e-rang apne sath kya kuchh le gaya
qatl-e-gul hota raha diwar-o-dar ke samne
waqt-e-marham hai magar marham ka bhi ek waqt hai
ro paDa hun ek purane ham-safar ke samne
Leave a comment