merā vajūd us ko gavārā nahīñ rahā
yuuñ rāh-e-zindagī meñ sahārā nahīñ rahā
furqat meñ us kī sabr-o-tahammul thā ishq meñ
vo aa gayā to zabt kā yaarā nahīñ rahā
har lahza shauq-e-husn meñ ye be-qarār hai
ab merā dil ke saath guzārā nahīñ rahā
maiñ iztirāb-e-ishq meñ had se guzar gayā
aisā maraz baḌhā hai ki chāra nahīñ rahā
mahfil se maiñ uThā to ajab tabsira huā
kahne lagā ki ab ye hamārā nahīñ rahā
har-chand be-ruḳhī meñ vo had se guzar gayā
kaise kahūñ ki vo mujhe pyārā nahīñ rahā
soz-e-nihāñ kī aag bhaḌaktī hai is qadar
yuuñ lag rahā hai ishq kā yaarā nahīñ rahā
maiñ jal ke raakh ho gayā huuñ soz-e-ishq se
maiñ zindagī meñ misl-e-sharārā nahīñ rahā
jab dard-e-dil nahīñ rahā to yuuñ lagā mujhe
goyā ki zindagī kā sahārā nahīñ rahā
parvāz-e-fikr-e-nau nahīñ pahuñchī jahāñ talak
aisā falak meñ koī sitārā nahīñ rahā
jab maut aa ga.ī to na.ī zindagī milī
ab bahr-e-zindagī kā kinārā nahīñ rahā
mera wajud us ko gawara nahin raha
yun rah-e-zindagi mein sahaara nahin raha
furqat mein us ki sabr-o-tahammul tha ishq mein
wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha
har lahza shauq-e-husn mein ye be-qarar hai
ab mera dil ke sath guzara nahin raha
main iztirab-e-ishq mein had se guzar gaya
aisa maraz baDha hai ki chaara nahin raha
mahfil se main uTha to ajab tabsira hua
kahne laga ki ab ye hamara nahin raha
har-chand be-ruKHi mein wo had se guzar gaya
kaise kahun ki wo mujhe pyara nahin raha
soz-e-nihan ki aag bhaDakti hai is qadar
yun lag raha hai ishq ka yara nahin raha
main jal ke rakh ho gaya hun soz-e-ishq se
main zindagi mein misl-e-sharara nahin raha
jab dard-e-dil nahin raha to yun laga mujhe
goya ki zindagi ka sahaara nahin raha
parwaz-e-fikr-e-nau nahin pahunchi jahan talak
aisa falak mein koi sitara nahin raha
jab maut aa gai to nai zindagi mili
ab bahr-e-zindagi ka kinara nahin raha
Source: Book : Raqs-e-junuu.n (Pg. 114) Author : Zaheer Kashmiri Publication : Mohd Jameel-un-nabi (1982) Edition : 1982
Leave a comment