Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chand Akbarabadi

  • Ghazal


ye tasawwur ka war jhuTa hai


ye tasavvur kā vaar jhūTā hai
ḳhvāb jhūTe haiñ saar jhūTā hai

phuul tum toḌ laa.e shāḳhoñ se
kyā bahāroñ se pyaar jhūTā hai

āñkhoñ meñ kuchh zabān par kuchh hai
terā kirdār yaar jhūTā hai

saarī gustāḳhiyāñ rahīñ qaa.em
us pe rutba vaqār jhūTā hai

lāpata huuñ maiñ ghar nahīñ koī
chiTThī jhūTī hai taar jhūTā hai

maut se tez dauḌ kis kī hai
umr par shahsavār jhūTā hai

dhuup ke shuul bikhre haiñ har suuñ
chāñdnī kā ḳhumār jhūTā hai

āñkhoñ meñ rakh hunar takallum kā
lafzoñ par e'tibār jhūTā hai

bār-e-ḳhātir hai ham ko fikr-e-zīst
hasratoñ kā mazār jhūTā hai

TūTnā aa.ine kī fitrat hai
pattharoñ se qarār jhūTā hai

'chāñd' kab tak karoge dil kā yaqīñ
aap kā intizār jhūTā hai

ye tasawwur ka war jhuTa hai
KHwab jhuTe hain sar jhuTa hai

phul tum toD lae shaKHon se
kya bahaaron se pyar jhuTa hai

aankhon mein kuchh zaban par kuchh hai
tera kirdar yar jhuTa hai

sari gustaKHiyan rahin qaem
us pe rutba waqar jhuTa hai

lapata hun main ghar nahin koi
chiTThi jhuTi hai tar jhuTa hai

maut se tez dauD kis ki hai
umr par shahsawar jhuTa hai

dhup ke shul bikhre hain har sun
chandni ka KHumar jhuTa hai

aankhon mein rakh hunar takallum ka
lafzon par e'tibar jhuTa hai

bar-e-KHatir hai hum ko fikr-e-zist
hasraton ka mazar jhuTa hai

TuTna aaine ki fitrat hai
pattharon se qarar jhuTa hai

'chand' kab tak karoge dil ka yaqin
aap ka intizar jhuTa hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+