Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Chandra Naqsh

  • Ghazal


jis ko nisbat ho tumhaare nam se


jis ko nisbat ho tumhāre naam se
kyuuñ Dare vo gardish-e-ayyām se

phir koī āvāz aa.ī kaan meñ
phir khanak uTThe fazā meñ jaam se

un nigāhoñ ko na jaane kyā huā
jin meñ raqsāñ the na.e paiġhām se

phir kisī kī bazm kā aayā ḳhayāl
phir dhuāñ uTThā dil-e-nākām se

kaun samjhe ham pe kyā guzrī hai 'naqsh'
dil laraz uThtā hai zikr-e-shām se

jis ko nisbat ho tumhaare nam se
kyun Dare wo gardish-e-ayyam se

phir koi aawaz aai kan mein
phir khanak uTThe faza mein jam se

un nigahon ko na jaane kya hua
jin mein raqsan the nae paigham se

phir kisi ki bazm ka aaya KHayal
phir dhuan uTTha dil-e-nakaam se

kaun samjhe hum pe kya guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThta hai zikr-e-sham se

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 jis ko nisbat ho tumhaare nam se Nomaan Shauque

Leave a comment

+