Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Tahir

  • Ghazal


kahne ko yun to abr-e-karam qatra-zan hua


kahne ko yuuñ to abr-e-karam qatra-zan huā
vo gul khile nadīm ki ḳhūn-e-chaman huā

ye dāġh-e-dil ki jin se rivāj-e-sahar chalā
nok-e-mizha pe ashk jo ubhrā kiran huā

patthar kī mūrateñ nazar aatī haiñ chār-sū
yārab tire jahāñ ko ye kyā daf.atan huā

donoñ meñ gūñjtī haiñ bahāroñ kī dhaḌkaneñ
merī ġhazal huī ki tumhārā badan huā

donoñ se ho rahā hai na.ī sub.h kā zuhūr
terī qabā huī ki hamārā kafan huā

'tāhir' siyāh-fām hue ham to ġham nahīñ
raushan hamāre naam se nām-e-suḳhan huā

kahne ko yun to abr-e-karam qatra-zan hua
wo gul khile nadim ki KHun-e-chaman hua

ye dagh-e-dil ki jin se riwaj-e-sahar chala
nok-e-mizha pe ashk jo ubhra kiran hua

patthar ki muraten nazar aati hain chaar-su
yarab tere jahan ko ye kya dafatan hua

donon mein gunjti hain bahaaron ki dhaDkanen
meri ghazal hui ki tumhaara badan hua

donon se ho raha hai nai subh ka zuhur
teri qaba hui ki hamara kafan hua

'tahir' siyah-fam hue hum to gham nahin
raushan hamare nam se nam-e-suKHan hua


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+