Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Ramnagri

  • Ghazal


lala-o-gul pe KHizan aaj bhi jab chhai hai


lāla-o-gul pe ḳhizāñ aaj bhī jab chhā.ī hai
kaun kahtā hai gulistāñ meñ bahār aa.ī hai

sū-e-mai-ḳhāna chaleñ riñd na kyuuñ jām-ba-dast
sar-e-mai-ḳhāna jo ghanghor ghaTā chhā.ī hai

phuul masrūr chaman meñ haiñ anādil shādāñ
kis ke aane kī ḳhabar bād-e-sabā laa.ī hai

raat ne gesuoñ se un ke siyāhī lī hai
un ke ruḳhsār se sūraj ne ziyā paa.ī hai

lala-o-gul pe KHizan aaj bhi jab chhai hai
kaun kahta hai gulistan mein bahaar aai hai

su-e-mai-KHana chalen rind na kyun jam-ba-dast
sar-e-mai-KHana jo ghanghor ghaTa chhai hai

phul masrur chaman mein hain anadil shadan
kis ke aane ki KHabar baad-e-saba lai hai

raat ne gesuon se un ke siyahi li hai
un ke ruKHsar se suraj ne ziya pai hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+