ḳhud ko kyuuñ jism kā zindānī kareñ
fikr ko taḳht-e-sulaimānī kareñ
der tak baiTh ke socheñ ḳhud ko
aaj phir ghar meñ bayābānī kareñ
apne kamre meñ sajā.eñ āfāq
jalsa-e-be-sar-o-sāmānī kareñ
umr bhar sher kaheñ ḳhuuñ thūkeñ
muntaḳhab rāsta nuqsānī kareñ
ḳhud ke sar mol leñ iz.hār kā qarz
dūsroñ ke liye āsānī kareñ
sher ke lab pe ḳhamoshī likkheñ
harf-e-nā-gufta ko lā-fānī kareñ
kīmiyā-kārī hai fan apnā 'sāz'
aag ko baiThe hue paanī kareñ
KHud ko kyun jism ka zindani karen
fikr ko taKHt-e-sulaimani karen
der tak baiTh ke sochen KHud ko
aaj phir ghar mein bayabani karen
apne kamre mein sajaen aafaq
jalsa-e-be-sar-o-samani karen
umr bhar sher kahen KHun thuken
muntaKHab rasta nuqsani karen
KHud ke sar mol len izhaar ka qarz
dusron ke liye aasani karen
sher ke lab pe KHamoshi likkhen
harf-e-na-gufta ko la-fani karen
kimiya-kari hai fan apna 'saz'
aag ko baiThe hue pani karen
Leave a comment