aaj to us ne yuuñ dekhā hai
jaise mujh ko bhuul gayā hai
kaliyāñ khul kar phuul banī haiñ
kis kā āñchal lahrāyā hai
un ko ab mere ġham kā
shāyad kuchh ehsās huā hai
sāmne un ke khoyā khoyā
soch rahā huuñ kyā kahnā hai
ruḳh pe bahāreñ jhuum rahī haiñ
aañkh meñ nashsha Dol rahā hai
armānoñ ke ḳhuun se maiñ ne
maañg meñ terī rañg bharā hai
'naqsh' ġhazal ye kis ne chheḌī
zarra zarra jhuum rahā hai
aaj to us ne yun dekha hai
jaise mujh ko bhul gaya hai
kaliyan khul kar phul bani hain
kis ka aanchal lahraya hai
un ko ab mere gham ka
shayad kuchh ehsas hua hai
samne un ke khoya khoya
soch raha hun kya kahna hai
ruKH pe bahaaren jhum rahi hain
aankh mein nashsha Dol raha hai
armanon ke KHun se main ne
mang mein teri rang bhara hai
'naqsh' ghazal ye kis ne chheDi
zarra zarra jhum raha hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment