Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Urfi Aafaqi

  • Ghazal


rawan dawan su-e-manzil hai qafila ki jo tha


ravāñ davāñ sū-e-manzil hai qāfila ki jo thā
vahī hanūz hai yak-dasht fāsla ki jo thā

nashāt-e-gosh sahī jal-tarañg kī āvāz
nafas nafas hai ik āshob-e-karbalā ki jo thā

gayā bhī qāfila aur tujh ko hai vahī ab tak
ḳhayāl-e-zād-e-safar fikr-e-rāhila ki jo thā

vo aa.e jaatā hai kab se par aa nahīñ jaatā
vahī sadā-e-qadam kā hai silsila ki jo thā

rawan dawan su-e-manzil hai qafila ki jo tha
wahi hanuz hai yak-dasht fasla ki jo tha

nashat-e-gosh sahi jal-tarang ki aawaz
nafas nafas hai ek aashob-e-karbala ki jo tha

gaya bhi qafila aur tujh ko hai wahi ab tak
KHayal-e-zad-e-safar fikr-e-rahila ki jo tha

wo aae jata hai kab se par aa nahin jata
wahi sada-e-qadam ka hai silsila ki jo tha


Source: Book : Shora-e-London (Pg. 74) Author : Johar Zahiri Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985) Edition : 1985

Leave a comment

+